MAIN WEBSITE OF 786GulamAkhterRaza
Monday, May 3, 2010
FAZAIL E SHAB-E- QADR
FAZAIL E SHAB-E- QADR
SHAB- E- QADR ke fazail Mein surah-e-qadr nazil hui , allah T’aala ne isi shab Mein quran-e-haqim yaqbaargi lauhe Mehfooz se aasmaane duniya ki taraf nazil farmaya.
Iss Shab Mein Ibaadat Karna Hazaar Mahinon Ke Ibaadat Se Behtar Hai Iss Shab Mein Hazrat Jibrael Alaihissalaam Aur Beshumaar Farishtein Duniya Ki Taraf Utarte Hain Aur Jo Log Ibaadat Wa Riyaazat Mein Mashgool Rehte Hain Unhein Salaam Pesh Karte Hain Aur Unke Liye Istigfaar Karte Hain Aur Ye Farishte Subha Saadiq Tak Rehte Hain.
Iss Shab Ki Fazilat Mein Ahadees Bahot Hai Yaha Kuch Zikr Ki Jaati Hain
Hadees- Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alahi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ramzaan Mein 1 Raat Aisi Hai jo Hazaar MAHEENON Se Behtar Hai Jo iski Bhalaiyo Se Mehroom Raha Wo Beshak Mehroom Hai.(Nasai)
Hadees- Hazrat Anas Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai Kehte Hai Ramzaan Aaya To Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ye Maheena Aaya Iss Mein 1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai Jo Isse Mehroom Raha Wo Har Cheez Se Mehroom Raha Aur Uske Khair (Bhalai) Se Wahi Mehroom Hoga Jo Poora Mehroom Hai.(Ibne Majah)
Hadees- Hazrat Salman Farsi Radiyallah8u T’aala Anhu Se Riwayat Hai Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya- Aye Logo! Tumhaare Paas Azmat Wala Barkat Wala Maheena Aaya Wo Maheena Jisme 1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai.(Baihaqi)
Hadees- Hazrat Abu Hurairah Raduyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jo Imaan Ki Wajah Se Aur Sawaab Ke Liye Shabe Qadr Mein Ibaadat Karega Uske Agle Gunaah Bakhsh Diye Jaayenge.(Bukhari,Muslim)
Lijhaza Iss Raat Mein Zyaada Se Zyaada Ibaadat Karni Chaahiye, Ye Raat Bahut Buzurgi Aur Fazeelat Wali Hai Iska Har Har Lamha Ibaadat Mein Guzaarna Chaahiye, Iss Raat ko Idhar Udhar Ghoom Kar Behuda Baaton Mein Guzaar Dena Sakht Mehroomi Hai.Baaz Log Aisi Raaton Mein Raat Ke Aakhir Hisse Tak Jaagte Hain Phir So Jaate Hain Aur Din Mein Uthte Hai.Iss Tarah unki Fajr Ki Namaaz Qaza Ho Jo Jaati Hai Jo K Jaayez Nahin Jin Logo Ko Fajr Mein Bedaar Hone Ka Yaqeen Na Ho unko Aise Waqt Mein Sona Hi Mana Hai Aise Logo Ko Chaahiye K Isha Ki Namaaz Jama’at Se Padhkar So Jaaye Aur Fajr Ki Namaaz Jama’at Se Padhe K Hadees Sharif Mein Hai k Huzoore Akram SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jisne Ba Jama’at Isha Ki Namaaz Padhi Goya Aadhi Raat Qayaam Kiya(Ibaadat Kiya) Aur Jisne Fajr Ki Namaaz Jama’at Se Padhi Goya Poori raat Qayaam(Ibaadat) Kiya (Muslim Sh)
iss Tarah Unko Raatbhar Ibaadat Karne ka Sawaab Mil Jaayega Aur Fajr Ki Namaaz Qaza Na Hogi. iss Raat Mein Qasrat Se Nawafil Padhe Aur Agar Zindagi Qaza Namaaze Ho To Behtar Ye Hai K Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se Adaa Karne K Apne Rab Se Maafi Maange.Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahmed Raza Fazile Bareilvi Radiyallahu T’aala Anhu Irshaad Farmate Hain Qaza Har Roz Ki Namaaz Faqat 20 Rakaton Ki Hoti Hai 2 Fajr ki, 4 Zohar Ki, 4 Asr Ki, 3 Magrib , 4 Isha, 3 Vitr. Agar Waqte Buloog Na Maloom Ho To Iske Liye Mard 12 Baras Aur Aurat 9 Baras Ki Umr Se Namaaz Ka Aisa Hisaab Lagaaye k TakhMeena Mein Baaqi Na Reh Jaaye.Zyaada Ho Jaaye To Harj Nahin Aur Wo Sab Baqadre Taaqat Rafta rafta jald Adaa Karein Kaaheeli Na Karein. Jab Tak Farz Zimaa Rehta Hai Koi Nafl Qubool Nahin Kiya Jaata.Niyyat Unn Namaazon Ki Iss Tarah Ho Maslan 100 Baar Ki Fajr Ki Qaza Hai To Har Baar Yu Kahe Ki Sab Se Pehli Jo Fajr Mujhse Qaza Hui Har Dafa Yehi Kahe yaani 1 Adaa Huyi To Baakiyon Mein Jo Sabse Pehli Hai Isi Tarah Zohar Wagairah Har Namaaz Mein Niyyat Karein.Jis par Bahut si Namaaze Qaza Ho Uske Liye Takhfeef Ki Surat Ye Hai k 1) Farz Ki Teesri Chouthi Rakaaton Mein Surah-e-Fateehah Ki Tilaawat ki Jagah 3 Baar Subhanallah Kehkar Rukoo Mein Jaaye.2)Nez Tasbeehaate Rukoo Aur Sujood Mein Sirf 1 Baar Subhana Rabbiyal Azeem Aur Subhana Rabbiyal A’ala Padhlena kaafi Hai.(Yaad Rahe Ye Tasbeehaat Rukoo Mein Jaane Ke Baad aur Uthne Se Pehle Adaa Karen)3)Tashahhud Ke Baad Dono Durood Sharif Aur Dua Ke Bajaaye ALLA HUMMA SALE ALAA SAYYEDINA MUHAMADEU WA AALIHI Keh Kar Salaam Pher De.4) Vittro Mein Bajaaye Qunood Ke 3 Baar Rabbig phirli Kehna Kaafi Hai.Tuloo, GurUb Wa Zawwaal Ke Alaawa Qaza Namaaze Har Waqt Adaa Ki Ja Sakti Hai.(Fatawae Razviya Jild 3, SAFA No 621-622) ALLAH T’AALA Ham Sab Logo Ko Iss Raat Ke Ehtaram Ki Taufeeq Ataa Farmaaye.

Tuesday, February 16, 2010
FAZAILE RAMZAAN
Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu t’aala Anhu Farmate hain k Huzoor Sallallahu T’aala Alaihiwasallam Farmate hain “Jab Ramzaan aata hai, aasmaan ke darwaze khol diye jaate hain. Ek riwayat Mein hai k “Jannat ke darwaze khol diye jaate hain.”Ek Riwayat Mein hai k “Rehmat ke darwaaze khol diye jaate hain”(BUKHARI & MUSLIM SHARIF)
Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se riwayat hai k Huzoor – e – Aqdas sallallaahu T’aala Alaihi wasallam ne farmaya k “Ramzan Aaya ye barkat ka mahina hai Allah T’aala iske roze tumpar farz kiye, IsMe Aasman Ke Darwaze khol diye jaate hai aur dozakh ke darwaaze bandh kar diye jaate hai aur sarkash shaitaanon ke tauqe daal diye jaate haiN. (NASAI SHARIF)
Hadees- Hazrate Sahal ibne saad Radiyallahu T’aala Anhu Se Marwi hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Farmate hain “Jannat Mein 8 darwaze hain,unme ek darwaze ka naam RAIYYAAN hai Uss darwaaze Se wohi jaayenge jo roze rakhte hain.
(BUKHARI)
Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Farmaya “ Jo Imaan ki wajah se Aur sawaab ke liye Ramzaan ka Rozah Rakhega uske Gunaah bakhsh diye jaayenge aur jo imaan aur sawaab ki Niyyat se ramzaan ki raaton ke qayaam karega ( Nawafil padhega) uske agle gunaah maaf kar diye jaayenge.
(BUKHARI,Muslim SHARIF)
Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-E-Aqdas Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Irshad Farmate hain Agar kisine ek din nafl Rozah rakha Aur Zameen Bhar use sona diya jaaye jab bhi uska sawaab poora na hoga. Uska Sawaab to qayaamat hi ke din milenge.
(TIBRANI)
Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasool-E -Akram Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne farmaya “Har cheez ke liye zakaat hai aur badan ki zakaat Rozah hai aur Rozah Aadha sabr hai.
(Ibne Majah)
Hadees- Hazrate Abu MAsood Gaffari Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-E-Aqdas Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya “Agar Bandon ko maloom hota k ramzaan kya cheez hai to Meri ummat tamanna karti k poora saal ramzaan hi ho.
(Ibne Khuzaima)
Hadees- Hazrate Salmaan Farsi Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-e-Aqdas Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya “ Ramzaan ki Raat Mein Qayaam (Namaaz padhna)Tato’o( Sunnat hai) Jo Isme NEki ka koi kaam kare to aisa hai jaise aur kisi mahine Mein farz ada kiya aur Isme jisne farz ada kiya to aisa hai jaise aur dino Mein 70 farz adaa kiye.
(Baihaqi)
note- iss kitaabcha mein mukhtasar masail zikr kiye gaye hai tafseel ke liye fatawae razwiya aur bahaare shariat ka mutaal’a farmaye
Last Page
ALL INDIA JAMAATE RAZAE MUSTAFA
Alhamdulillah Iss Jama’at Ko Ye Sharf Haasil Hai k Aala Hazrat Jo Chaudhvi Sadi Ke Mujaddid Hain Unhone Iss Jama’at Ki Buniyaad Rakhi Aur Huzoor Mufti-e-AazaMe Hind Jo Pandravi Sadi Ke Mujaddid Hain Unhone Ta Zindagi Iss Jama’at Ke Zariye Ahle Sunnat Wa Jama’at Ki Rehbari Farmayi Aur Logo ko Isse Judhe Rehne Ki Talqeen Ki Iss Zamaane Mein Huzoor TajushShariah Allama Mufti MuhamMad Akhtar Raza Qadri Razvi Madda Zillahul A’ali Iss Jama’at Ki saraparasti Farma Rahe Hain Lihaza aap bhi malake Aala Hazrat Par Mazbooti se Qaayam rehne ke l;iye iss Jama’at Mein Sharik Ho Jaayen Aur Iss Jama’at Ke Ijtima’aat Mein Shirkat Karein Jin Mein ulamaye Ahle Sunnat Ke Bayanaat Hote Hain Aur Logo Ke Sawaalaat Ke Jawaabaat Diye Jaate Hain.
Jamaate Razae Mustafa Ke Ijtima’at
1) Santacruz Station Masjid Baroz Sanichar Baad Namaaz-e-Isha
2) Sunni Muhammadi Masjid,Railway Compound,Byculla Baroz Sanichar Baad Namaaz-e-Isha
3) Memon MASJID,Kalyan Baroz Juma Baad Namaaz-e-Isha
4) Madina Masjid, Aminabad,Kausa Mumbra Baroz JuMeraat Baad Namaaz-e-Isha
5) Ashrafia Masjid, Rashid Compound,RaMez Baug Kausa Mumbra, Baroz Sanichar Baad Namaaz-e-Isha
6) Raza Masjid, Devipada Srilanka,Kausa Mumbra Baroz Itwaar Baad Namaaz-e-Isha

DEENI ISLAMIC Messages Ke Liye FREE SMS GROUP Shuru Hua Hai. Iss Mein- QURAN SHARIF KA TARJUMA, DEENI MASLE MASAIL, HADEES SHARIF KI Baatein Aur Bhi Bohat Si DEENI Baatein Bataayi Jaayengi. FREE MESSAGES Paane Ke Liye APNE Mobile Se Type Karein-
JOIN 786GulamAkhter
Aur 567678 par bheje.
(Note- Sirf JOIN Likhne ke Baad Space De, 786GulamAkhter Ek hi word hai)
Saare INDIA mein member banaaye. SIRF 3 Rs. Katega Uske Baad Kabhi Nahin Katega Aur
‘ LIFE TIME FREE MESSAGES ’ Milte Rahege.
Subscribe to:
Posts (Atom)