Monday, May 3, 2010

AHAADEES FAZAILE RAMZAAN


Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu t’aala Anhu Farmate hain k Huzoor Sallallahu T’aala Alaihiwasallam Farmate hain “Jab Ramzaan aata hai, aasmaan ke darwaze khol diye jaate hain. Ek riwayat Mein hai k “Jannat ke darwaze khol diye jaate hain.”Ek Riwayat Mein hai k “Rehmat ke darwaaze khol diye jaate hain”(BUKHARI & MUSLIM SHARIF)

Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se riwayat hai k Huzoor – e – Aqdas sallallaahu T’aala Alaihi wasallam ne farmaya k “Ramzan Aaya ye barkat ka mahina hai Allah T’aala iske roze tumpar farz kiye, IsMe Aasman Ke Darwaze khol diye jaate hai aur dozakh ke darwaaze bandh kar diye jaate hai aur sarkash shaitaanon ke tauqe daal diye jaate haiN. (NASAI SHARIF)

Hadees- Hazrate Sahal ibne saad Radiyallahu T’aala Anhu Se Marwi hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Farmate hain “Jannat Mein 8 darwaze hain,unme ek darwaze ka naam RAIYYAAN hai Uss darwaaze Se wohi jaayenge jo roze rakhte hain.

(BUKHARI)

Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Farmaya “ Jo Imaan ki wajah se Aur sawaab ke liye Ramzaan ka Rozah Rakhega uske Gunaah bakhsh diye jaayenge aur jo imaan aur sawaab ki Niyyat se ramzaan ki raaton ke qayaam karega ( Nawafil padhega) uske agle gunaah maaf kar diye jaayenge.

(BUKHARI,Muslim SHARIF)

Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-E-Aqdas Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Irshad Farmate hain Agar kisine ek din nafl Rozah rakha Aur Zameen Bhar use sona diya jaaye jab bhi uska sawaab poora na hoga. Uska Sawaab to qayaamat hi ke din milenge.

(TIBRANI)

Hadees- Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasool-E -Akram Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne farmaya “Har cheez ke liye zakaat hai aur badan ki zakaat Rozah hai aur Rozah Aadha sabr hai.

(Ibne Majah)

Hadees- Hazrate Abu MAsood Gaffari Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-E-Aqdas Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya “Agar Bandon ko maloom hota k ramzaan kya cheez hai to Meri ummat tamanna karti k poora saal ramzaan hi ho.

(Ibne Khuzaima)

Hadees- Hazrate Salmaan Farsi Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-e-Aqdas Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya “ Ramzaan ki Raat Mein Qayaam (Namaaz padhna)Tato’o( Sunnat hai) Jo Isme NEki ka koi kaam kare to aisa hai jaise aur kisi mahine Mein farz ada kiya aur Isme jisne farz ada kiya to aisa hai jaise aur dino Mein 70 farz adaa kiye.

(Baihaqi)

Unn Surto Ka Bayaan Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai

Masla-Ramzaan Mein Rozah daar Mukallaf(Jispar Rozah Farz ho) Muqim Ne K Adaaye Rozahe Ramzaan Ki Niyyat Se Rozah Rakha Aur Geeza Ya Dawa Khaayi Ya Paani Piya Ya Koi Cheez Lazzat Ke Liye Khaayi Ya Pi Inn Sab Surton Mein Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai.

Masla- Jis Jagah Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai Usme Shart Hai k Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho Agar Din Mein Niyyat Ki Thi Aur Todh Diya To Kaffara Laazim Nahin

Masla- Kaffara Wajib Hone Ke Liye Bhar Pet Khaana Zaroori Nahin.Thodasa Khaane se Bhi Wajib Ho Jaayega

Masla-Tel Lagaaya Ya Geebat Ki Phir Ye Gumaan Kar Liya K Rozah Toot Gaya Phir Usne Kha Pi Liya Jab Bhi Kaffara Laazim Hai

Masla-Jin Surton Mein Rozah Todhne Par Kaffara Laazim Nahin Unme Shart Hai K Ek Hi Baar Aisa Hua Ho Aur Gunaah Ka Iraada Na Kiya Ho Warna Unme Kaffara Dena Hoga.

Masla- Sehri Ka Niwala munh Mein Tha K Subah Tulo’o Ho Gayi Aur Use Nigal Gaya Kaffara Wajib Hai.

Masla- Bhoolkar Kha Raha Tha Yaad Aa Gaya Aur Nigal Gaya, Kaffara Wajib Hai.

Masla- Ehtlaam(Night Fall) Hua Aur Use Maloom Tha K Rozah Na Gaya Phir Kha Liya To Kaffara Laazim Hai.

Masla- Ramzaan Ka Rozah Qasdan(Jaanbujhkar)Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai

MASAIL – E -FIQHIYYA

Rozah bhi Misl Namaaz Ke(namaaz ki Tarah) farze a’in hai – Iski Farziyat ka munkir kaafir aur bila uzr tark karne wala sakht gunehgaar aur dozakh ka mustaheeq (Haqdaar) hai . Jo bachche Rozah rakh sakte ho unko rakhaya jaaye.

ROZE KE TAARIF

Rozah Urfe shara’a Mein musalmaan ka ibaadat ki Niyyat se subah saadiq se Gurub – E – Aaftaab tak apne ko jaan bujhkar khaane peene aur jima’a(HumBistari) se baaz rakhne ko kehte hain.

Roze Ki Niyyat Ke Masail

Masla- Adae Rozahe Ramzaan aur nazre mu’aiyyan aur nafl ke roze ke liye Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab se Zuhuwe Kubra ( Shuru Zawaal ) Tak hai.

Masla- Zuhuwe Kubra( Shuru Zawaal) Niyyat ka waqt Nahin bal k isse pehle Niyyat ho jaana zaroori hai aur khaas Zuhuwe Kubra (Shuru Zawaal) ke waqt Niyyat ki to Rozah na hua.

Masla- Niyyat dil ke irade ka naam hai, Zubaan se kehna shart Nahin magar zubaan se keh lena mustahab hai.

Masla- Agar raat Mein Niyyat kare to , yu kahe “…………………………..Arbi Dua…………………..” aur din Mein Niyyat kare to ye kahe “………………………Arbi Dua…………………………….

Masla- Raat Mein Niyyat ki phir uske baad raat hi Mein khaaya, piya to Niyyat Nahin gayi, wahi pehli hi Niyyat kaafi hai phir Niyyat karne zaroori Nahin.

Masla- Din Mein Niyyat Kare To Zaroori hai K Ye Niyyat Kare k Main Subha Saadiq Se Rozahdaar hu Aur Agar Ye Niyyat Hai k Abse Rozahdaar Hu Subha Se Nahin To Rozah Na Hua

Masla- Din Mein woh Niyyat saheeh hai k subah sadiq se Niyyat karte waqt Rozah ke khilaaf koi amr na paya gaya ho-lihaza agar subah sadiq ke fauran baad Qasdan(Jaan Bujhkar) khaya, piya uske baad roze ki Niyyat ki to Rozah na hua aur agar subah sadiq ke baad bhool kar kha pi liya ab Niyyat ki to Rozah ho jaayega.

Masla- Rozah Todhne ki Niyyat se Rozah Nahin tutega jab tak todhne waali cheez na kare

Rozah Todhne ka pakka irada kiya magar todha Nahin to Rozah Saheeh hai.

Masla- Agar raat Mein roze ki Niyyat ki phir pakka irada kar liya ke Nahin rakhega to woh Niyyat jaati rahi agar nayee Niyyat na ki aur din bhar bhooka, pyaasa raha to Rozah na hua.

Masla- Sehri khaana bhi Niyyat hai khaah(chaahe) ramzaan ke roze ke liye ho ya kisi aur Rozah ke liye

Masla- Sehri khaate waqt ye irada hai k subah ko Rozah na hoga To yeh sehri khaana Niyyat Nahin

Masla- Adae Ramzaan aur nazrein mo’aiyyan aur Nafl ke alawa baaqi roze maslan qazae ramzaan aur nazre gair mo’aiyyan aur Nafl ki Qaza(yaani Nafl Rozah rakhkar todh diya tha uski qaza)inn sab Mein ain(exactly)subah chamakte waqt ya raat Mein Niyyat karna zaroori hai.

Masla- Gurube Aaftaab Se Zuhuwe Kubra(Shuru Zawaal) tak sirf teen qism ke roze ki Niyyat ho sakti hai.

a.) Adae Ramzaan.

b.) Nazrein Mo’Aiyyan.

c.) Nafli Roze

Inke Alawa Jitne roze hain maslan – Qazae ramzaan wagairah to inki Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab ke baad se Subah Sadiq ke chamakte waqt tak hai. To agar kisine ramzaan ke qaza roze ki Niyyat subah sadiq ke baad ki, Rozah na hua.

Unn Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Tootta : -

Masla- Bhool kar khaaya Piya HumBistari ki, Rozah na toota chaahe wo Rozah Nafl ho ya farz

Masla- Kisi Rozdaar ko bhool kar khaate – peete dekhe to yaad dilaana wajib hai, yaad na dilaya to Gunehgaar hua.

Masla- Makkhi ya Dhua ya Gubaar halaq Mein jaane se Rozah Nahin tootta.

Masla-Tel ya surma lagaaya to Rozah na toota agarche tel ya surma halaq Mein Meinhsoos hota ho balke thook Mein surma ka rang bhi dikhaayi deta ho jab bhi Nahin toota.

Masla- Gusl Kiya aur paani ki thandak andar Meinhsoos huyi, Rozah Nahin toota.

Masla- Kulli ki aur paani bilkul phek diya sirf kuch tari munh Mein baaki reh gayi thi, thook ke saath Use nigal gaya, Rozah Nahin toota.

Masla- Kaan Mein paani chala gaya, Rozah Nahin toota.

Masla- Tinke se kaan khujaya aur Uss (tinke) Par kaan ka mayl lag gaya phir wahi Mayl laga hua tinka Kaan Mein daala agarche chand baar kiya ho, Rozah Na toota.

Masla- daanton Se Khoon Nikalkar Halaq Tak Pahuncha Magar Halaq Se Niche Na Utra To Rozah Na Toota Aur Agar Halaq Se Niche Utra Magar Itna Kam Tha K Halaq Mein Mazah Meinhsoos Na Hua Jab Bhi Rozah Na toota.

Masla-Thook, Balgum, Naak ki Reet wagairah nigalne se Rozah Nahin toota.

Masla -Bhoole se Khana kha raha tha yaad aate hi fauran luqma phek diya ya Subha-saadiq se pehle kha raha tha aur subha hote hi Ugal diya , Rozah na gaya aur Nigal gaya to dono Surton Mein Rozah jaata raha.

Masla - Ehtlaam(Night Fall) hua ya Geebat ki to Rozah na gaya Agarche Geebat bahut sakht kabeera hai.

Quran-e-Majeed Mein Geebat karne ki Nisbat Farmaya jaise Apne Murda Bhai ka Gosht khaana(Surah-e-Hujraat Aayat 12) aur Hadees Mein Farmaya Geebat Zina se bhi Sakht Tar(Bahut Sakt) hai Agarche Geebat ki wajah se Roze ki Nooraniyyat jaati rehti hai.

Masla – Janaabat (Napaaki) ki haalat Mein Subha ki Agar saare din Naapak raha , Rozah na gaya magar itni der tak Qasdan Gusl na karna K Namaaz Qaza ho jaaye Gunah wa Haraam hai. Hadees Mein hai K Junub (Napaak) jis Ghar Mein hota hai usme Rehmat ke Farishte Nahin Aate.

Masla – Daanton Mein koi Cheez Chane se kam thi aur use Nigal gaya , Rozah na toota.

Masla – Injection Gosht Mein lagwaya jaaye ya rag Mein, dono Surton Mein Rozah na tootega.

Masla – Aankhon Mein dawa daalne se Rozah Nahin tootta.

Masla - Khoon Nikalwane ya chadhwaane se Rozah Nahin tootta isi tarah Glucose chadhane se bhi Nahin tootta.

Masla – Qasdan Qai (Ulti) ki, agar munh bhar na ho to Rozah na tootega.

Masla – Be-ikhtiyar Qai (Ulti) ho gayi to thodi ho ya Zyaada, Rozah na toota.

Masla – Khud-bakhud Ulti huyi phir use Nigal gaya to agar munh bhar na ho, Rozah na gaya.

Masla – Balgum ki Qai kitni hi ho use Rozah Nahin tootega.

Masla – Rozdar ke jism par Zakhm hai aur usse peep baha to Rozah na gaya.

Masla – Roze ki haalat Mein itr lagaya ya usko soonga ya phool soonga ya baal katwaya ya Naakhun kaata ya sar ya badan ke kisi aur hisse par baam ya tel ki Maalish ki ya Powder wa Cream wagairah lagaaya to inn sab surton Mein Rozah na gaya.

Masla – Roze ki Haalat Mein Aankh ka Operation karaya Ya aur kisi azu (Parts) ka Operation karaya, Rozah na gaya.

Masla – Aansu ya Paseena munh Mein chala gaya aur use nigal gaya to agar Qatra-2-Qatra hai Rozah na toota.

Rozah Todhne Waali Cheezon Ka Bayan

Masla – Jaan-bujhkar Khaane-Peene, HumBistari karne se Rozah Toot jaata hai.

Masla – Huqqa, Sigaar, Cigerate, Charat(Charas) wagairah Peene se Rozah toot jaata hai.

Masla – Paan ya Tumbaku khaane se Rozah toot jaata hai.

Masla – Shakar(Sugar) wagairah aisi Cheezein jo munh Mein rakhne se ghul jaati hai, Munh Mein rakhi aur Thook nigal gaya, Rozah toot gaya.

Masla – Daanton ke darmiyaan koi Cheez Chane ke barabar ya zyaada thi use kha gaya ya kam hi thi magar Munh se nikaal kar phir kha li to dono Surton Mein Rozah toot gaya.

Masla– Daanton se khoon nikalkar halaq se neeche utra aur uska mazah halaq Mein Meinhsoos hua,Rozah toot gaya.

Masla – Roze Mein Daant Ukharwaya aur khoon nikalkar Halaq se neeche utra Rozah toot gaya.

Masla- Naak Se Dawa Chadhayi Ya Kaan Mein Tel Dala Ya Chala Gaya Rozah Toot Gaya

Masla – Kaan Mein Jaanbujh kar paani daalne se Rozah toot jaata hai(Fatawae Razwiya).

Masla – Kulli kar raha tha Be-ikhtiyaar paani Halaq se Utar gaya, Rozah toot gaya.

Masla – Naak Mein Paani Chadhaya aur Dimaag ko chadh gaya Rozah toot gaya.

Masla – Aansu ya Paseena Munh Mein chala gaya aur nigal gaya to agar do Qatre se zyaada hai aur uski Namkeeni poore Munh Mein Meinhoos huyi, Rozah toot gaya.

Masla – Jaanbujh kar Munh bhar Qai (Ulti) ki to Rozah toot gaya.

Masla – Be-Ikhtiyaar Bhar Munh Qai (Ulti) ho gayi phir use Nigal gaya Rozah Toot Gaya

Masla – Ye Gumaan tha k Subah Nahin hui aur khaya ya piya baad ko Maloom hua k Subah ho chuki thi Rozah na hua.

Masla – Ye Gumaan tha k Aaftaab Doob gaya Aur Iftaar kar liya Baad ko Maloom hua k na Dooba tha Rozah na hua.

Masla – Jiska Rozah toot gaya Maslan Galti se Paani Wagairah koi Cheez Halaq Mein ja rahi to jo kuch Din Baaki reh gaya use Roze ki tarah Guzaarna Wajib hai.

Masla – Naswaar Naak Mein lagaakar Upar Kheechne se Rozah toot jaata hai.

Masla – Lobaan, Agarbatti wagairah ke Dhue ko Jaanbujhkar Naak Ya Munh se Kheecha , Rozah toot gaya.

Masla – Manjan Ya Toothpaste wagairah kar raha tha aur uske kuch Ajza Halaq se neeche utar gaye Rozah toot gaya.

Masla – Inhaler (jo ke Dama ke Mariz Aksar Istamaal karte hain) Roze ki haalat Mein Istamaal kiya Rozah toot gaya. Isi Tarah Sardi Ke Inhaler Se Bhi Rozah toot Jaayega.

Masla – Sheenk Aane ke liye Naak Mein Sufoof (Powder) Rakhkar upar ko Saans Kheechne se Rozah toot Jaayega.

Roze Ke Fidya Ke Masail

Roze Ke Fidya Ke Masail

Masla- Har Roze Ka Fidya Baqadre Sadqae Fitr Hai(Yaani 2 Kilo 50 gm Gehu Ya Uski Qeemat)

Masla- Shaikhe Faani yaani Budha jiski Umr Aisi Ho Gayi K Ab Roz Baroz Kamzor Hi Hota JAayega Jab WoH Rozah Rakhne Se Aajiz Ho Yaani Na Ab Rakh Sakta Hai Na Aainda Usme Itni Taaqat Aane Ki Koi Ummeed Hai K Rozah Rakh Sakega Use Rozah Na Rakhne ki Ijaazat Hai Aur Har Roze Ke Badle Mein Fidya Yaani Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Pet Khana Khilana Uss Par Wajib Hai Ya Har Roze Ke Badle Mein Sadqae Fitr Ki Miqdar Miskeen Ko De De.

Masla- Agar Aisa Budha Garmiyon Mein Ba Wajah e Garmi(Garmi Ki Wajah Se) Ke Rozah Nahin Rakh Sakta Magar Jaadho(Sardi) Main Rakh Sakega To Ab Na Rakhe Aur Inke Badle Ke Jaadho Mein Rakhna Farz Hai.

Masla- Agar Fidya Dene Ke Baad Itni Taaqat Aa Gayi K Rozah Rakh Sakega To Fidya Sadqae Nafl Hokar Reh Gaya Unn Rozon Ki Qaza Rakhe.

Etakaaf Ka bayaan

Etakaaf Ka bayaan

Hadees- Ummul Momineen Siddiqa Radiyallahu T’aala Anha Se Riwayat Hai K Rasoolullah Sallal Laahu T’aala Alaihi Wasallam Razmzaan Ke Aakhri Ashra(Aakhri 10 din) Mein Etakaaf Farmaya Karte (Bukhari, Muslim)

Hadees- Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu T’aala Anhuma Se Riwayat Hai K Huzoor Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Etakaaf Karne Wale Ke Baare Mein farmaya Woh Gunaahon Se Baaz Rehta Hai Aur Nekiyon Se Use iss Qadar Sawaab Milta Hai Jaise Usne Tamaam Nekiyaan Ki. (Ibne Maajah)

Hadees- Hazrate Husain Radiyalllahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jisne Ramzaan Mein 10 Dino Ka Etakaaf Kar Liya To Aisa Hai Jaise 2 Haj Aur 2 Umre Kiye.(Baihaqi)

Masla- Masjid Mein Allah Ke Liye Niyyat Ke Saath Theherna Etakaaf Hai Aur Uske Liye Musalmaan Aaqin(Aql Wala) Hona Aur Janaabat(Napaaki) Aur Haiz Aur Nifaas Se Paak Hona Shart Hai, Baalig Hona Shart Nahin.

Etakaaf Ki 3 QIsmein Hai

1) Wajib

2) Sunnate Mu-akkida

3) Mustahab

1)Etakaaf-e-wajib

Ye Mannat Ka Etakaaf Hai Jaise kisi Ne Mannat Maani K Fulah Kaam Ho Jaayega To MAIN 1 Din Ya 2 Din Etakaaf Karuga To Ye Etakaaf Wajib Hai Iska Poora Karna Zaroori Hai. Etakaafe Wajib Ke Liye Rozah Shart Hai Bagair Rozah Ke Saheeh Nahin.

2) Etakaaf-e-Sunnate Mu-akkida

Ye Ramzaan Ke Poore Ashraye Aakhira Yaani Aakhiri 10 Din Mein Kiya Jaaye.

Masla- 20’svi Ramzaan Ko Suraj Doobte Waqt Etakaaf Ki Niyyat Se Masjid Mein Maujood Ho Aur 30’svi Ko Suraj Doobne Ke Baad Ya 29’svi Ko Chaand Hone Ke Baad Nikle.

Masla- Agar 20’svi Taarikh Ko Baad Namaaz-E-Magrib Etakaaf Ki Niyyat Ki To Sunnat-e-Mu-akkida Adaa Na Hogi.

Masla- Ye Etakaaf Sunnat-e-Mu-akkida Kifaya Hai k Agar Sab Chhodh de to Sab Pakre Jaayen Aur Agar 1 Ne Bhi Kar Liya To Sab Choot Jaayen.

Masla- Iss Etakaaf Mein Bhi Rozah Shart Hai Magar Wahi Ramzaan Ke Roze Kaafi Hai.

3) Etakaaf-e-Mustahab

Etakaafe Wajib Aur Etakaafe Sunnat-e -Mu-akkida Ke Alaawa Jo Etakaaf Kiya Jaaye Wo Mustahab Hai. Etakaafe Mustahab Ke Liye Rozah Shart Nahin, Ye Thodi Der Ka Bhi ho Sakta Hai Masjid Mein Jab Jab Jaaye Iss Etakaaf Ki Niyyat Kar Le Chaahe Thodi Hi Der Masjid Mein Rehkar Chala Aaye Jab Masjid Ke Bahaar Aa Jaayega Etakaaf Khatm Ho Jaayega Aur Uski Niyyat Ye Hai.

Arbi Dua

Aur Urdu Mein Iss Tarah Kahein Maine- Allah Ke Waaste Etakaaf-e-Mustahab Ki Niyyat Ki.

Masla : Mard ke Etakaaf ke liye masjid zaroori hai.

Masla : Aurat apne ghar ki Uss jagah Mein Etakaaf kare jo jagah Usne namaAz ke liye mukarrar kar rakhi ho.

Masla : Agar aurat ne namaz ke liye koi jagah mukarrar Nahin Kar rakhi hai to ghar Mein etakaaf Nahin kar sakti , albatta agar iss waqt yaani jab ke etakaaf ka irada kiya kisi jagah ko namaaz ke liye khaas karliya to Uss jagah etAkaaf kar sakti hai.

Masla: Aurat ke liye ye mustahab hai k ghar Mein namaaz padhne ke liye koi jagah mukarrar karle aur Use paak aur saaf rakhe .

Masla: mutakIf (Etakaaf karne wala) ko masjid se bagair uzr nikalna haram hai agar nikla to Etakaaf toot jaayega, chaahe bhool kar hi nikla ho jab bhi.

Masla: Aurat agar apne Etakaaf ki jagah se nikli to Etakaaf jaata raha ,chaahe ghar hi Mein rahe.

Masla : mutakif (Etakaaf karne wala) masjid hi Mein khaaye peeye soye in Umoor ke liye masjid se bahaar hoga to Etakaaf jaata rahega, magar khaane peene Mein yeh Ehtiyaat lazim hai k masjid aaluda na ho.

Masla : Mutakif ke siwa aur kisi ko masjid Mein khaane peene sone ki ijaazat Nahin aur agar yeh kaam karna chaahe to Etakaaf ki Niyyat karke, masjid Mein jaayen aur namaaz padhen ya zikr-e-ilahi kare phir yeh kaam kar sakta hai.

Masla: Mutakif na chup rahe na baat kare balki quran-e-majid ki tilawat hadees ki Qeerat aur durood sharif ki kasrat kare, ambiya wa auliya wa saaleheen ke haalaat padhe.

Masla: Etakaaf jis wajah se bhi toote Qasdan ya bila Qasd beHerhaal qaza wajib hai.

Masla: sunnat-e-muakkida Etakaaf agar todha to jis din todha faqat Uss ek (1) din ki qaza hai poore das (10) dinon ki qaza wajib Nahin.

Masla : agar nafl Etakaaf todh De to iski qaza Nahin.

TARAAWEEH KA BAYAAN

TARAAWEEH KA BAYAAN

Masla: TARAAWEEH MARD WA AURAT SABKE LIYE SUNNAT-E-MUAKKIDA HAI ISKA TARK jaayez Nahin.

Masla: jamhur ka mazhab ye hai k Taraaweeh bees (20) rakatein hain aur yehi ahaadees se sAabit.

Masla: Taraaweeh ka waqt isha ke farz padhne ke baad se subha sadiq nikalne tak hai.

Masla: Taraaweeh Mein jamaat sunnat-e- kiffaya hai k agar masjid ke sab log chhodh denge to gunehgar honge aur agar kisi ek (1) ne ghar Mein tanha padhli to gunehgar Nahin.

Masla: Taraaweeh masjid Mein ba jamaat Padhna Afzal Hai Agar Ghar Mein JAMAAT SE Padhi To Jamaat ke tark ka gunaah na hua magar Woh sawaab na milenga jo masjid Mein padhne ka tha.

Masla: Agar fout ho jaayen to inki qaza Nahin aur agar qaza tanha padhli to Taraaweeh Nahin balki nafl mustahab hai.

Masla: Taraaweeh Mein ek (1) baar quran-e-majid khatm karna sunnat-e- muakkida hai. Logon ki susti ki wajah se khatm ko tark na kare.

Masla: Agar muqtadiyon par giraani ho to tashahaud ke baad “ Arbi Dua” par iktefa kare.

Masla: Agar ek (1) khatm karna ho to behtar hai k sattaiswi (27) shab Mein khatm ho phir agar Iss Raat Mein ya iske pehle khatm ho to Taraaweeh aakhir ramzaAn tak Baraabar padhte rahe k sunnat-e- muakkida hai.

Masla: Afzal ye hai k ek imaam ke peeche Taraaweeh padhe aur do (2) ke peeche padhna chaahe to behtar hai k poore Tarwihah par imaam badle maslan aanth (8) ek (1) ke peeche aur baarah (12) doosre ke.

Masla: Ramzan sharif Mein vittr jamaat ke saath padhna afzal hai khwah Usi imaam ke peeche jis ke peeche isha wa Taraaweeh padhi hai ya doosre ke peeche.

Masla: ye jayeez hai k ek (1) shakhs isha wa vittr padhae doosra Taraaweeh.

Masla: Agar isha jamat se padhe aur Taraaweeh tanha to vittr ki jamaat Mein sharik ho sakta hai .

Masla: Agar isha tanha padhli agarche Taraaweeh bajamaat padhi to vittr tanha padhe.

Masla : Muqtadi ko ye jaayez Nahin ke baitha rahe jab imaam rukoo karne ko ho to khadha ho jaaye k ye munafiqeen se mushabahat hai , allah T’aala irshaad farmata hai “ Munafiq jab namaaz ko khade hote hain to thake ji se . (surre nisa aayat no 142).

Masla: Taraaweeh ramzan ki har shab Mein bees(20) rakat sunnat-e-muakkida hai baaz log ye karte hai k che (6) din ya das (10) Din Mein poora quran sharif sun kar poore ramzan Taraaweeh Nahin padhte woh gunehgar aur fasiq hai. Woh ramzan-ul-mubaraq ki baqiya(Baaqi) raaton Mein bhi Taraaweeh padhe.

Luqma dene ke masail

Luqma dene ke masail

Masla: imaam agar bhool jaaye to luqma dena jaayez hai aur agar imaam ne luqma le liya to Uss par sAjda- e- sahu Nahin.

Masla : foran luqma dena makrooh hai Thoda tawaqquf (theherna ) chaahiye k shaayed imaam khud nikaal le.

Masla: imaam ko makrooh hai k muqtadiyon ko luqma dene par majboor kare balki kisi doosri sureh ki taraf muntaqil ho jaaye ya doosri aayat shuru karde bashart ye k Uska Wasl mufside namaaz na ho .

Masla: qari (imaam) ko pareshaan karne ki Niyyat se luqma dena haraam hai. (Fatwae razwiya)

FAZAIL E SHAB-E- QADR

FAZAIL E SHAB-E- QADR

SHAB- E- QADR ke fazail Mein surah-e-qadr nazil hui , allah T’aala ne isi shab Mein quran-e-haqim yaqbaargi lauhe Mehfooz se aasmaane duniya ki taraf nazil farmaya.

Iss Shab Mein Ibaadat Karna Hazaar Mahinon Ke Ibaadat Se Behtar Hai Iss Shab Mein Hazrat Jibrael Alaihissalaam Aur Beshumaar Farishtein Duniya Ki Taraf Utarte Hain Aur Jo Log Ibaadat Wa Riyaazat Mein Mashgool Rehte Hain Unhein Salaam Pesh Karte Hain Aur Unke Liye Istigfaar Karte Hain Aur Ye Farishte Subha Saadiq Tak Rehte Hain.

Iss Shab Ki Fazilat Mein Ahadees Bahot Hai Yaha Kuch Zikr Ki Jaati Hain

Hadees- Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alahi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ramzaan Mein 1 Raat Aisi Hai jo Hazaar MAHEENON Se Behtar Hai Jo iski Bhalaiyo Se Mehroom Raha Wo Beshak Mehroom Hai.(Nasai)

Hadees- Hazrat Anas Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai Kehte Hai Ramzaan Aaya To Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ye Maheena Aaya Iss Mein 1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai Jo Isse Mehroom Raha Wo Har Cheez Se Mehroom Raha Aur Uske Khair (Bhalai) Se Wahi Mehroom Hoga Jo Poora Mehroom Hai.(Ibne Majah)

Hadees- Hazrat Salman Farsi Radiyallah8u T’aala Anhu Se Riwayat Hai Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya- Aye Logo! Tumhaare Paas Azmat Wala Barkat Wala Maheena Aaya Wo Maheena Jisme 1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai.(Baihaqi)

Hadees- Hazrat Abu Hurairah Raduyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jo Imaan Ki Wajah Se Aur Sawaab Ke Liye Shabe Qadr Mein Ibaadat Karega Uske Agle Gunaah Bakhsh Diye Jaayenge.(Bukhari,Muslim)

Lijhaza Iss Raat Mein Zyaada Se Zyaada Ibaadat Karni Chaahiye, Ye Raat Bahut Buzurgi Aur Fazeelat Wali Hai Iska Har Har Lamha Ibaadat Mein Guzaarna Chaahiye, Iss Raat ko Idhar Udhar Ghoom Kar Behuda Baaton Mein Guzaar Dena Sakht Mehroomi Hai.Baaz Log Aisi Raaton Mein Raat Ke Aakhir Hisse Tak Jaagte Hain Phir So Jaate Hain Aur Din Mein Uthte Hai.Iss Tarah unki Fajr Ki Namaaz Qaza Ho Jo Jaati Hai Jo K Jaayez Nahin Jin Logo Ko Fajr Mein Bedaar Hone Ka Yaqeen Na Ho unko Aise Waqt Mein Sona Hi Mana Hai Aise Logo Ko Chaahiye K Isha Ki Namaaz Jama’at Se Padhkar So Jaaye Aur Fajr Ki Namaaz Jama’at Se Padhe K Hadees Sharif Mein Hai k Huzoore Akram SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jisne Ba Jama’at Isha Ki Namaaz Padhi Goya Aadhi Raat Qayaam Kiya(Ibaadat Kiya) Aur Jisne Fajr Ki Namaaz Jama’at Se Padhi Goya Poori raat Qayaam(Ibaadat) Kiya (Muslim Sh)

iss Tarah Unko Raatbhar Ibaadat Karne ka Sawaab Mil Jaayega Aur Fajr Ki Namaaz Qaza Na Hogi. iss Raat Mein Qasrat Se Nawafil Padhe Aur Agar Zindagi Qaza Namaaze Ho To Behtar Ye Hai K Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se Adaa Karne K Apne Rab Se Maafi Maange.Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahmed Raza Fazile Bareilvi Radiyallahu T’aala Anhu Irshaad Farmate Hain Qaza Har Roz Ki Namaaz Faqat 20 Rakaton Ki Hoti Hai 2 Fajr ki, 4 Zohar Ki, 4 Asr Ki, 3 Magrib , 4 Isha, 3 Vitr. Agar Waqte Buloog Na Maloom Ho To Iske Liye Mard 12 Baras Aur Aurat 9 Baras Ki Umr Se Namaaz Ka Aisa Hisaab Lagaaye k TakhMeena Mein Baaqi Na Reh Jaaye.Zyaada Ho Jaaye To Harj Nahin Aur Wo Sab Baqadre Taaqat Rafta rafta jald Adaa Karein Kaaheeli Na Karein. Jab Tak Farz Zimaa Rehta Hai Koi Nafl Qubool Nahin Kiya Jaata.Niyyat Unn Namaazon Ki Iss Tarah Ho Maslan 100 Baar Ki Fajr Ki Qaza Hai To Har Baar Yu Kahe Ki Sab Se Pehli Jo Fajr Mujhse Qaza Hui Har Dafa Yehi Kahe yaani 1 Adaa Huyi To Baakiyon Mein Jo Sabse Pehli Hai Isi Tarah Zohar Wagairah Har Namaaz Mein Niyyat Karein.Jis par Bahut si Namaaze Qaza Ho Uske Liye Takhfeef Ki Surat Ye Hai k 1) Farz Ki Teesri Chouthi Rakaaton Mein Surah-e-Fateehah Ki Tilaawat ki Jagah 3 Baar Subhanallah Kehkar Rukoo Mein Jaaye.2)Nez Tasbeehaate Rukoo Aur Sujood Mein Sirf 1 Baar Subhana Rabbiyal Azeem Aur Subhana Rabbiyal A’ala Padhlena kaafi Hai.(Yaad Rahe Ye Tasbeehaat Rukoo Mein Jaane Ke Baad aur Uthne Se Pehle Adaa Karen)3)Tashahhud Ke Baad Dono Durood Sharif Aur Dua Ke Bajaaye ALLA HUMMA SALE ALAA SAYYEDINA MUHAMADEU WA AALIHI Keh Kar Salaam Pher De.4) Vittro Mein Bajaaye Qunood Ke 3 Baar Rabbig phirli Kehna Kaafi Hai.Tuloo, GurUb Wa Zawwaal Ke Alaawa Qaza Namaaze Har Waqt Adaa Ki Ja Sakti Hai.(Fatawae Razviya Jild 3, SAFA No 621-622) ALLAH T’AALA Ham Sab Logo Ko Iss Raat Ke Ehtaram Ki Taufeeq Ataa Farmaaye.